ye uruj-e-hasti hai ya zawal-e-hasti hai
ye urūj-e-hastī hai yā zavāl-e-hastī hai
un kī aarzū mahñgī apnī maut sastī hai
khul chuke haiñ rindoñ par rāz-hā-e-mai-ḳhāna
ḳhud nigāh-e-sāqī se tishnagī barastī hai
duur tak nahīñ koī saath dasht-e-ġhurbat meñ
rāstoñ kī vīrānī aur dil ko Dastī hai
kuchh to ai ġham-e-jānāñ tujh ko bhūlnā hogā
sirf terā ho rahnā ik buland pastī hai
ik tujhī ko chāhā thā kyā ḳhudā.ī chāhī thī
phir bhī kam-nazar duniyā jurm-e-dil pe hañstī hai
kal unhīñ kī peshānī sub.h-e-nau jagā.egī
jin kī tīra-baḳhtī par aaj raat hañstī hai
dil 'mujīb' aise meñ Duub Duub jaatā hai
jab nigāh-e-dushman se dostī barastī hai
ye uruj-e-hasti hai ya zawal-e-hasti hai
un ki aarzu mahngi apni maut sasti hai
khul chuke hain rindon par raaz-ha-e-mai-KHana
KHud nigah-e-saqi se tishnagi barasti hai
dur tak nahin koi sath dasht-e-ghurbat mein
raston ki virani aur dil ko Dasti hai
kuchh to ai gham-e-jaanan tujh ko bhulna hoga
sirf tera ho rahna ek buland pasti hai
ek tujhi ko chaha tha kya KHudai chahi thi
phir bhi kam-nazar duniya jurm-e-dil pe hansti hai
kal unhin ki peshani subh-e-nau jagaegi
jin ki tira-baKHti par aaj raat hansti hai
dil 'mujib' aise mein Dub Dub jata hai
jab nigah-e-dushman se dosti barasti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.