ye unch-nich ki fitrat mujhe miTani hai
ye ūñch-nīch kī fitrat mujhe miTānī hai
ab āsmāñ ke barābar zamīn laanī hai
hamāre paas qanā'at kī lakḌiyāñ laao
ki ḳhvāhishāt kī ham ko chitā jalānī hai
koī bashar kabhī paanī banā nahīñ saktā
ḳhudā ke hone kā pahlā subūt paanī hai
shajar kī shāḳh ko patjhaḌ meñ bhī nahīñ chhoḌā
ye lag rahā hai parinda vo ḳhāndānī hai
abhī se likhne lage ho agar-magar lekin
tumhāre diid ke vā'de meñ ānā-kānī hai
na ho sakā kisī darbār meñ kabhī maqbūl
mirī zabān pe ilzām-e-haq-bayānī hai
ye unch-nich ki fitrat mujhe miTani hai
ab aasman ke barabar zamin lani hai
hamare pas qana'at ki lakDiyan lao
ki KHwahishat ki hum ko chita jalani hai
koi bashar kabhi pani bana nahin sakta
KHuda ke hone ka pahla subut pani hai
shajar ki shaKH ko patjhaD mein bhi nahin chhoDa
ye lag raha hai parinda wo KHandani hai
abhi se likhne lage ho agar-magar lekin
tumhaare did ke wa'de mein aana-kani hai
na ho saka kisi darbar mein kabhi maqbul
meri zaban pe ilzam-e-haq-bayani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.