ye vāqi'a hai bazāhir bahut 'ajīb sā thā
maiñ us ke qurb meñ apnā hī ḳhud raqīb sā thā
milā jo shahr-e-alam meñ vo ajnabī na lagā
har ik se dard kā rishta bahut qarīb sā thā
hue jo dost baġhal-gīr haath phailā kar
nazar meñ kyoñ mire naqsha khiñchā salīb sā thā
ye zard chehroñ kā sailāb maujzan har sū
ye apnā shahr to sahrā se bhī muhīb sā thā
huā 'shakīl' bhī āḳhir halāk-e-sang-e-ġhazab
qarīb jā ke jo dekhā to ham-nasīb sā thā
ye waqi'a hai bazahir bahut 'ajib sa tha
main us ke qurb mein apna hi KHud raqib sa tha
mila jo shahr-e-alam mein wo ajnabi na laga
har ek se dard ka rishta bahut qarib sa tha
hue jo dost baghal-gir hath phaila kar
nazar mein kyon mere naqsha khincha salib sa tha
ye zard chehron ka sailab maujzan har su
ye apna shahr to sahra se bhi muhib sa tha
hua 'shakil' bhi aaKHir halak-e-sang-e-ghazab
qarib ja ke jo dekha to ham-nasib sa tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.