ye wahm jaane mere dil se kyun nikal nahin raha
ye vahm jaane mere dil se kyuuñ nikal nahīñ rahā
ki us kā bhī mirī tarah se jī sambhal nahīñ rahā
koī varaq dikhā jo ashk-e-ḳhūñ se tar-ba-tar na ho
koī ġhazal dikhā jahāñ vo daaġh jal nahīñ rahā
maiñ ek hijr-e-be-murād jheltā huuñ raat din
jo aise sabr kī tarah hai jis kā phal nahīñ rahā
to ab mire tamām rañj mustaqil raheñge kyaa?
to kyā tumhārī ḳhāmushī kā koī hal nahīñ rahā?
kaḌī masāfatoñ ne kis ke paañv shal nahīñ kiye?
koī dikhāo jo bichhaḌ ke haath mal nahīñ rahā
ye wahm jaane mere dil se kyun nikal nahin raha
ki us ka bhi meri tarah se ji sambhal nahin raha
koi waraq dikha jo ashk-e-KHun se tar-ba-tar na ho
koi ghazal dikha jahan wo dagh jal nahin raha
main ek hijr-e-be-murad jhelta hun raat din
jo aise sabr ki tarah hai jis ka phal nahin raha
to ab mere tamam ranj mustaqil rahenge kya?
to kya tumhaari KHamushi ka koi hal nahin raha?
kaDi masafaton ne kis ke panw shal nahin kiye?
koi dikhao jo bichhaD ke hath mal nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.