ye wahm tha mera ya phir hawa ka jhonka tha
ye vahm thā mirā yā phir havā kā jhoñkā thā
thā mahv-e-ḳhvāb uThāyā balā kā jhoñkā thā
ukhāḌ pheñkā hai jis ne daraḳht ko jaḌ se
vo zulmatoñ ke nagar kī anā kā jhoñkā thā
mirī sadā tire kānoñ talak jo pahuñchī thī
qusūr-vār barābar havā kā jhoñkā thā
tavāf karne jo aayā thā raat chupke se
gumān kahtā hai tishna sadā kā jhoñkā thā
jo mere saath rahā ban ke sā.ebāñ 'tanhā'
vo merī maañ ke laboñ kī duā kā jhoñkā thā
ye wahm tha mera ya phir hawa ka jhonka tha
tha mahw-e-KHwab uThaya bala ka jhonka tha
ukhaD phenka hai jis ne daraKHt ko jaD se
wo zulmaton ke nagar ki ana ka jhonka tha
meri sada tere kanon talak jo pahunchi thi
qusur-war barabar hawa ka jhonka tha
tawaf karne jo aaya tha raat chupke se
guman kahta hai tishna sada ka jhonka tha
jo mere sath raha ban ke saeban 'tanha'
wo meri man ke labon ki dua ka jhonka tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.