ye wahshat yunhi be-mani nahin hai
ye vahshat yūñhī be-ma.anī nahīñ hai
ki saath us kī nigahbānī nahīñ hai
use chāhā thā jis shiddat se maiñ ne
vo bichhḌā hai to hairānī nahīñ hai
samundar hai mirī palkoñ ke nīche
vo kahtā hai yahāñ paanī nahīñ hai
mirī vahshat se hai ābād sahrā
mirī rāhoñ meñ vīrānī nahīñ hai
qayāmat aa.ī thī chehra badal kar
mukammal tū ne pahchānī nahīñ hai
musalsal paḌh rahī huuñ ziist tujh ko
faqat aurāq-gardānī nahīñ hai
tirī yādeñ mirā raḳht-e-safar haiñ
safar meñ ab pareshānī nahīñ hai
sambhal kar ḳharch kar āñkhoñ se 'tārā'
safar lambā hai aur paanī nahīñ hai
ye wahshat yunhi be-mani nahin hai
ki sath us ki nigahbani nahin hai
use chaha tha jis shiddat se main ne
wo bichhDa hai to hairani nahin hai
samundar hai meri palkon ke niche
wo kahta hai yahan pani nahin hai
meri wahshat se hai aabaad sahra
meri rahon mein virani nahin hai
qayamat aai thi chehra badal kar
mukammal tu ne pahchani nahin hai
musalsal paDh rahi hun zist tujh ko
faqat auraq-gardani nahin hai
teri yaaden mera raKHt-e-safar hain
safar mein ab pareshani nahin hai
sambhal kar KHarch kar aankhon se 'tara'
safar lamba hai aur pani nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.