ye waqt-e-pur-fareb yun guzre hai tez-gam
ye vaqt-e-pur-fareb yuuñ guzre hai tez-gām
din kī haTā.ī pannī to andar se niklī shaam
īmān-o-ittihād kī tanzīm kho ga.ī
ab khāñchā jack pavvā chalātā hai ye nizām
jī chāhtā hai boriyā bāñdheñ nikal paḌeñ
apnā to tere shahr meñ jiinā huā harām
ḳhud ko ġharīb maan ke taqdīr jaan ke
din-rāt pis rahe haiñ dil-o-jān se avaam
jamhūriyat kī rail ko paTrī pe lā.eñge
sattar baras se bas yahī bhāshan haiñ sub.h-o-shām
merā karachi phir hai kisī sāmrī ke haath
ik bil meñ phañs ga.ī haiñ kahīñ gardisheñ tamām
jis ko bhī dekhte haiñ vo khoyā huā sā hai
jaise muqīm aur kahīñ hai kahīñ qiyām
schōl ḳhuun chūsne vaalī machine haiñ
bhejo gulāb-gūñ to palaTtā hai zard-fām
data kī is sadī pe kabhī ġhaur to karo
insān bik rahā hai yahāñ kauḌiyoñ ke daam
ye waqt-e-pur-fareb yun guzre hai tez-gam
din ki haTai panni to andar se nikli sham
iman-o-ittihad ki tanzim kho gai
ab khancha jack pawwa chalata hai ye nizam
ji chahta hai boriya bandhen nikal paDen
apna to tere shahr mein jina hua haram
KHud ko gharib man ke taqdir jaan ke
din-raat pis rahe hain dil-o-jaan se awam
jamhuriyat ki rail ko paTri pe laenge
sattar baras se bas yahi bhashan hain subh-o-sham
mera karachi phir hai kisi samri ke hath
ek bil mein phans gai hain kahin gardishen tamam
jis ko bhi dekhte hain wo khoya hua sa hai
jaise muqim aur kahin hai kahin qiyam
school KHun chusne wali machine hain
bhejo gulab-gun to palaTta hai zard-fam
data ki is sadi pe kabhi ghaur to karo
insan bik raha hai yahan kauDiyon ke dam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.