ye waqt zindagi ki adaen bhi le gaya
ye vaqt zindagī kī adā.eñ bhī le gayā
qisse kahāniyoñ kī sabhā.eñ bhī le gayā
us ne tamām shahr ko gūñgā banā diyā
mere dahan se merī sadā.eñ bhī le gayā
mausam lagā ke zaḳhm gayā shāḳh shāḳh par
peḌoñ se phūloñ vaalī ridā.eñ bhī le gayā
sūraj ne Dūbte hue ham ko sazā ye dī
jismoñ se raushnī kī qabā.eñ bhī le gayā
guzrā thā apne shahr se rāvan fasād kā
zālim mohabbatoñ kī kathā.eñ bhī le gayā
'anjum' nirālā chor hameñ raah meñ milā
jo dil ke saath ham se duā.eñ bhī le gayā
ye waqt zindagi ki adaen bhi le gaya
qisse kahaniyon ki sabhaen bhi le gaya
us ne tamam shahr ko gunga bana diya
mere dahan se meri sadaen bhi le gaya
mausam laga ke zaKHm gaya shaKH shaKH par
peDon se phulon wali ridaen bhi le gaya
suraj ne Dubte hue hum ko saza ye di
jismon se raushni ki qabaen bhi le gaya
guzra tha apne shahr se rawan fasad ka
zalim mohabbaton ki kathaen bhi le gaya
'anjum' nirala chor hamein rah mein mila
jo dil ke sath hum se duaen bhi le gaya
- Book : Lehja-e-Gul (Pg. 52)
- Author : Farooq Anjum
- Publication : 2011 (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.