ye wo nale hain jo lab tak aaenge
ye vo naale haiñ jo lab tak ā.eñge
tum to kyā ho āsmāñ hil jā.eñge
ishq meñ ik pīr-e-derīna huuñ maiñ
mujh ko nāseh aa ke kyā samjhā.eñge
hazrat-e-dil sochte haiñ aaj kuchh
phir balā koī muqarrar lā.eñge
is tavaqqo.a par uThāte haiñ sitam
kuchh to samjheñge kabhī sharmā.eñge
pheñk deñge dil ko pahlū chiir kar
aap dekheñ kis tarah le jā.eñge
hāl-e-dil kahte haiñ jo kuchh ho sau ho
dekhiye vo aaj kyā farmā.eñge
phir na chaukeñge qayāmat tak 'nasīm'
paañv jis din qabr meñ phailā.eñge
ye wo nale hain jo lab tak aaenge
tum to kya ho aasman hil jaenge
ishq mein ek pir-e-derina hun main
mujh ko naseh aa ke kya samjhaenge
hazrat-e-dil sochte hain aaj kuchh
phir bala koi muqarrar laenge
is tawaqqoa par uThate hain sitam
kuchh to samjhenge kabhi sharmaenge
phenk denge dil ko pahlu chir kar
aap dekhen kis tarah le jaenge
haal-e-dil kahte hain jo kuchh ho sau ho
dekhiye wo aaj kya farmaenge
phir na chaukenge qayamat tak 'nasim'
panw jis din qabr mein phailaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.