ye wo yaqin hai jo uljhe yaqin se nikla hai
ye vo yaqīñ hai jo uljhe yaqīñ se niklā hai
hamārī haañ kā ye dhāgā nahīñ se niklā hai
ye dil hai sab se baḌā bhiik māñgne vaalā
pa zindagī kā ḳhazāna yahīñ se niklā hai
tire liye jo yaqīñ dil meñ aa gayā thā mire
vo saañp ban ke mirī āstīñ se niklā hai
falak kī chaah meñ jhūTā yaqīñ zarūrī hai
ye maan lo ki sitārā zamīñ se niklā hai
jahāñ maiñ Duub gayā aur Dūbtā hī gayā
samundaroñ kā samundar vahīñ se niklā hai
mujhe panāh mire dil-nashīñ ne dī hai sadā
mirā makān mire hī makīñ se niklā hai
ye ḳhār-e-ishq hai 'aḳhtar' maza hī detā hai
agar chubhā to kahāñ ye kahīñ se niklā hai
ye wo yaqin hai jo uljhe yaqin se nikla hai
hamari han ka ye dhaga nahin se nikla hai
ye dil hai sab se baDa bhik mangne wala
pa zindagi ka KHazana yahin se nikla hai
tere liye jo yaqin dil mein aa gaya tha mere
wo sanp ban ke meri aastin se nikla hai
falak ki chah mein jhuTa yaqin zaruri hai
ye man lo ki sitara zamin se nikla hai
jahan main Dub gaya aur Dubta hi gaya
samundaron ka samundar wahin se nikla hai
mujhe panah mere dil-nashin ne di hai sada
mera makan mere hi makin se nikla hai
ye KHar-e-ishq hai 'aKHtar' maza hi deta hai
agar chubha to kahan ye kahin se nikla hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.