ye wuque to aasman ke hain
ye vuqūe to āsmāñ ke haiñ
sānahe aur jism-o-jāñ ke haiñ
aaj inheñ pahlī baar dekhā hai
kaun haiñ ye bhalā kahāñ ke haiñ
donoñ pātāl meñ muqayyad haiñ
do hī kirdār dāstāñ ke haiñ
saaya saaya hai azhdahā-sūrat
kyā ye āsār isī jahāñ ke haiñ
mo'atabar haath the bujhe vo bhī
silsile zulmat-e-gumāñ ke haiñ
in se guzro to baat kar leñge
marhale ashk-e-rā.egāñ ke haiñ
ye wuque to aasman ke hain
sanahe aur jism-o-jaan ke hain
aaj inhen pahli bar dekha hai
kaun hain ye bhala kahan ke hain
donon patal mein muqayyad hain
do hi kirdar dastan ke hain
saya saya hai azhdaha-surat
kya ye aasar isi jahan ke hain
mo'atabar hath the bujhe wo bhi
silsile zulmat-e-guman ke hain
in se guzro to baat kar lenge
marhale ashk-e-raegan ke hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.