Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye yaqin ye guman hi mumkin hai

Abrar Ahmad

ye yaqin ye guman hi mumkin hai

Abrar Ahmad

MORE BYAbrar Ahmad

    ye yaqīñ ye gumāñ mumkin hai

    tujh se milnā yahāñ mumkin hai

    ḳhvāb ik mumkin o mayassar

    garche us bayāñ mumkin hai

    behad o be-hisāb shauq meñ bhī

    qasd kū-e-butāñ mumkin hai

    tañgnā-e-jahān-e-zāhir meñ

    ye zamīñ ye zamāñ mumkin hai

    had se had is rah-e-hazīmat meñ

    pursish-rah-ravāñ mumkin hai

    ātish-e-dil pe Dālne ke liye

    reg-e-rāh-e-ravāñ mumkin hai

    sarhad-e-mumkināt se aage

    sar pe ik āsmāñ mumkin hai

    aan baiThe ki lagāne ko

    sohbat-e-dostāñ mumkin hai

    arsa-e-zindagī meñ terī mirī

    sirf ik dāstāñ mumkin hai

    kyā tamāshā hai yaañ uThāne ko

    ek bār-e-girāñ mumkin hai

    ye yaqin ye guman hi mumkin hai

    tujh se milna yahan hi mumkin hai

    KHwab ek mumkin o mayassar ka

    garche us ka bayan hi mumkin hai

    behad o be-hisab shauq mein bhi

    qasd ku-e-butan hi mumkin hai

    tangna-e-jahan-e-zahir mein

    ye zamin ye zaman hi mumkin hai

    had se had is rah-e-hazimat mein

    pursish-rah-rawan hi mumkin hai

    aatish-e-dil pe Dalne ke liye

    reg-e-rah-e-rawan hi mumkin hai

    sarhad-e-mumkinat se aage

    sar pe ek aasman hi mumkin hai

    aan baiThe ki ji lagane ko

    sohbat-e-dostan hi mumkin hai

    arsa-e-zindagi mein teri meri

    sirf ek dastan hi mumkin hai

    kya tamasha hai yan uThane ko

    ek bar-e-giran hi mumkin hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    ye yaqin ye guman hi mumkin hai Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now