ye zamin achchhi lagi ye aasman achchha laga
ye zamīñ achchhī lagī ye āsmāñ achchhā lagā
saath jab tak tum rahe saarā jahāñ achchhā lagā
thī havāoñ meñ mahak us ke badan kī har taraf
fasl-e-gul achchhī lagī daur-e-ḳhizāñ achchhā lagā
us se milne kī lalak meñ jī rahā huuñ aaj tak
varna be-maqsad safar tanhā kahāñ achchhā lagā
jo kahā us ne sarāsar jhuuT thā sach hai magar
mutma.in maiñ thā ki andāz-e-bayāñ achchhā lagā
muḳhtalif mulkoñ se qaumeñ aa.iiñ aa kar bas ga.iiñ
kuchh to hai hī jo unheñ hindostāñ achchhā lagā
shaiḳh masjid meñ barahman dair meñ maiñ mai-kade
sub.h tak sab the vahāñ jis ko jahāñ achchhā lagā
dosto sach sach batānā ḳhaak to maiñ ho gayā
kyā tumheñ ghar se mire uThtā dhuāñ achchhā lagā
dushman-e-jāñ us ko kahtā hai to koī bevafā
jaane kyoñ 'gulshan' mujhe vo jān-e-jāñ achchhā lagā
ye zamin achchhi lagi ye aasman achchha laga
sath jab tak tum rahe sara jahan achchha laga
thi hawaon mein mahak us ke badan ki har taraf
fasl-e-gul achchhi lagi daur-e-KHizan achchha laga
us se milne ki lalak mein ji raha hun aaj tak
warna be-maqsad safar tanha kahan achchha laga
jo kaha us ne sarasar jhuT tha sach hai magar
mutmain main tha ki andaz-e-bayan achchha laga
muKHtalif mulkon se qaumen aain aa kar bas gain
kuchh to hai hi jo unhen hindostan achchha laga
shaiKH masjid mein barahman dair mein main mai-kade
subh tak sab the wahan jis ko jahan achchha laga
dosto sach sach batana KHak to main ho gaya
kya tumhein ghar se mere uThta dhuan achchha laga
dushman-e-jaan us ko kahta hai to koi bewafa
jaane kyon 'gulshan' mujhe wo jaan-e-jaan achchha laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.