ye zamin chand sitaron ka badal kaise ho
ye zamīñ chāñd sitāroñ kā badal kaise ho
sochtā maiñ bhī bahut kuchh huuñ amal kaise ho
sūrat-e-hāl badal jaatī hai ik lamhe meñ
aadmī apne irādoñ meñ aTal kaise ho
kin daraḳhtoñ se lagā rakkhī hai ummīd-e-samar
shāḳh hī jab na ho sarsabz to phal kaise ho
sochte kuchh haiñ amal kuchh hai natīja kuchh hai
aisī sūrat meñ koī mas.ala hal kaise ho
dard se koī ilāqa na ta.alluq ġham se
sirf lafzoñ ke baratne se ġhazal kaise ho
har mulāqāt adhūrī rahī is uljhan meñ
ya.anī iz.hār-e-mohabbat meñ pahal kaise ho
mere mahbūb kā urdu se hai rishta kam-kam
mainūñ aañdī na.iiñ punjabi te gal kaise ho
ye zamin chand sitaron ka badal kaise ho
sochta main bhi bahut kuchh hun amal kaise ho
surat-e-haal badal jati hai ek lamhe mein
aadmi apne iradon mein aTal kaise ho
kin daraKHton se laga rakkhi hai ummid-e-samar
shaKH hi jab na ho sarsabz to phal kaise ho
sochte kuchh hain amal kuchh hai natija kuchh hai
aisi surat mein koi masala hal kaise ho
dard se koi ilaqa na talluq gham se
sirf lafzon ke baratne se ghazal kaise ho
har mulaqat adhuri rahi is uljhan mein
yani izhaar-e-mohabbat mein pahal kaise ho
mere mahbub ka urdu se hai rishta kam-kam
mainun aandi nain punjabi te gal kaise ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.