Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye zamin jo saqafat mein zarKHez thi isko kya ho gaya

Muneer Jafri

ye zamin jo saqafat mein zarKHez thi isko kya ho gaya

Muneer Jafri

MORE BYMuneer Jafri

    ye zamīñ jo saqāfat meñ zarḳhez thī is ko kyā ho gayā

    is sharh-e-numū to bahut tez thī is ko kyā ho gayā

    ab surāhī ke dāman meñ kuchh bhī nahīñ ḳhāmushī ke sivā

    merī tārīḳh logoñ se labrez thī is ko kyā ho gayā

    terī duniyā ko nazdīk se dekh kar ḳhud pe afsos hai

    is tasvīr kitnī dil-āvez thī is ko kyā ho gayā

    tum ne bārūd thailiyoñ meñ janā thā na.ī nasl ko

    aaj kahte ho ye amn-angez thī is ko kyā ho gayā

    us ḳhāk-e-shifā se jilā ga.e kitne ruumī yahāñ

    ye zamīñ apnī shaukat meñ tabrez thī is ko kyā ho gayā

    tujh badan ke manāzir nazzārgī hai ḳhizāñ-yāfta

    ye siyāhat baḌī lutf-angez thī is ko kyā ho gayā

    pakke rangoñ meñ rangī huī aurteñ kitnī nāyāb haiñ

    ye mohabbat jo mashshāq rangrez thī is ko kyā ho gayā

    zindagī apnī tarsīl marhala tai nahīñ kar sakī

    varna raftār meñ maut se tez thī is ko kyā ho gayā

    peḌ chhāl bhī kāTne jatan kar nahīñ pā.egī

    merī talvār fitrat meñ ḳhūñ-rez thī is ko kyā ho gayā

    shaḳhsiyat ke tanāsub meñ bechārgī baḌh rahī hai 'munīr'

    ye kahānī bahut junūñ-ḳhez thī is ko kyā ho gayā

    ye zamin jo saqafat mein zarKHez thi is ko kya ho gaya

    is ki sharh-e-numu to bahut tez thi is ko kya ho gaya

    ab surahi ke daman mein kuchh bhi nahin KHamushi ke siwa

    meri tariKH logon se labrez thi is ko kya ho gaya

    teri duniya ko nazdik se dekh kar KHud pe afsos hai

    is ki taswir kitni dil-awez thi is ko kya ho gaya

    tum ne barud ki thailiyon mein jana tha nai nasl ko

    aaj kahte ho ye amn-angez thi is ko kya ho gaya

    us ki KHak-e-shifa se jila pa gae kitne rumi yahan

    ye zamin apni shaukat mein tabrez thi is ko kya ho gaya

    tujh badan ke manazir ki nazzargi hai KHizan-yafta

    ye siyahat baDi lutf-angez thi is ko kya ho gaya

    pakke rangon mein rangi hui aurten kitni nayab hain

    ye mohabbat jo mashshaq rangrez thi is ko kya ho gaya

    zindagi apni tarsil ka marhala tai nahin kar saki

    warna raftar mein maut se tez thi is ko kya ho gaya

    peD ki chhaal bhi kaTne ka jatan kar nahin paegi

    meri talwar fitrat mein KHun-rez thi is ko kya ho gaya

    shaKHsiyat ke tanasub mein bechaargi baDh rahi hai 'munir'

    ye kahani bahut hi junun-KHez thi is ko kya ho gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now