ye zamin kuchh bhi nahin ye aasman kuchh bhi nahin
ye zamīñ kuchh bhī nahīñ ye āsmāñ kuchh bhī nahīñ
goyā ye duniyā ba-juz vahm-o-gumāñ kuchh bhī nahīñ
ek vo din thā ki the ham log mīr-e-kārvāñ
aaj ham lekin baġhair-e-kārvāñ kuchh bhī nahīñ
ik zamāna thā ki the ham mālik-e-kaun-o-makāñ
aaj apnī milkiyat meñ iiñ na aañ kuchh bhī nahīñ
apnā charchā thā kabhī duniyā-e-haft-iqlīm meñ
aaj apnī zindagī kī dāstāñ kuchh bhī nahīñ
ham se vābasta thī ik din raunaq-e-bazm-e-chaman
ab chaman hai nā chaman meñ āshiyāñ kuchh bhī nahīñ
ye zamin kuchh bhi nahin ye aasman kuchh bhi nahin
goya ye duniya ba-juz wahm-o-guman kuchh bhi nahin
ek wo din tha ki the hum log mir-e-karwan
aaj hum lekin baghair-e-karwan kuchh bhi nahin
ek zamana tha ki the hum malik-e-kaun-o-makan
aaj apni milkiyat mein in na aan kuchh bhi nahin
apna charcha tha kabhi duniya-e-haft-iqlim mein
aaj apni zindagi ki dastan kuchh bhi nahin
hum se wabasta thi ek din raunaq-e-bazm-e-chaman
ab chaman hai na chaman mein aashiyan kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.