ye zamin wo aasman aisa na tha
ye zamīñ vo āsmāñ aisā na thā
is tarah dariyā kabhī bahtā na thā
zaḳhm bhī itne hare pahle na the
ye chaman gul-rañg bhī aisā na thā
sar-barahna sūrajoñ ke saath the
yuuñ ḳhayāl-e-yār be-sāya na thā
ik sitāra dil meñ raushan thā magar
aañkh ne us ko kabhī dekhā na thā
is taraf hī dekhtā rahtā thā maiñ
vo darīcha der tak khultā na thā
ek hī sahrā ke baasī the sabhī
koī apnā koī begāna na thā
har taraf tārīk thī duniyā magar
ik charāġh-e-dil thā jo bujhtā na thā
ye zamin wo aasman aisa na tha
is tarah dariya kabhi bahta na tha
zaKHm bhi itne hare pahle na the
ye chaman gul-rang bhi aisa na tha
sar-barahna surajon ke sath the
yun KHayal-e-yar be-saya na tha
ek sitara dil mein raushan tha magar
aankh ne us ko kabhi dekha na tha
is taraf hi dekhta rahta tha main
wo daricha der tak khulta na tha
ek hi sahra ke basi the sabhi
koi apna koi begana na tha
har taraf tarik thi duniya magar
ek charagh-e-dil tha jo bujhta na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.