ye zard phul ye kaghaz pe harf gile se
ye zard phuul ye kāġhaz pe harf giile se
tumhārī yaad bhī aa.ī hazār hiile se
badan kā lams havā ko banā gayā ḳhushbū
nazar ke sehr se manzar hue nashīle se
ye zindagī bhī faqat ret kā samundar hai
kabhī nigāh jo Daalo fanā ke Tiile se
ye shā.irī mujhe 'shahbāz' yuuñ bhī pyārī hai
ki merā ḳhud se ta.alluq hai is vasīle se
ye zard phul ye kaghaz pe harf gile se
tumhaari yaad bhi aai hazar hile se
badan ka lams hawa ko bana gaya KHushbu
nazar ke sehr se manzar hue nashile se
ye zindagi bhi faqat ret ka samundar hai
kabhi nigah jo Dalo fana ke Tile se
ye shairi mujhe 'shahbaz' yun bhi pyari hai
ki mera KHud se talluq hai is wasile se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.