ye zarf ki tu KHush hai kahin rishta joD ke
ye zarf ki tū ḳhush hai kahīñ rishta joḌ ke
nādim zamīr merā tirā saath chhoḌ ke
yuuñ to abhī abhī mirī āñkheñ huī thiiñ band
lekin azān-e-dil ne jagāyā jhiñjhoḌ ke
is ek chehre meñ ka.ī chehre simaT ga.e
ik aa.ina banāyā hai kirchoñ ko joḌ ke
dī bhā.iyoñ ne mujh ko jo hisse meñ būḌhī maañ
dozaḳh meñ jā ke baiThe haiñ jannat ko chhoḌ ke
aa.egā zindagī meñ ye din bhī kabhī 'sadaf'
lā.ūñgā āsmāñ se sitāroñ ko toḌ ke
ye zarf ki tu KHush hai kahin rishta joD ke
nadim zamir mera tera sath chhoD ke
yun to abhi abhi meri aankhen hui thin band
lekin azan-e-dil ne jagaya jhinjhoD ke
is ek chehre mein kai chehre simaT gae
ek aaina banaya hai kirchon ko joD ke
di bhaiyon ne mujh ko jo hisse mein buDhi man
dozaKH mein ja ke baiThe hain jannat ko chhoD ke
aaega zindagi mein ye din bhi kabhi 'sadaf'
launga aasman se sitaron ko toD ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.