ye zarurat hai to phir isko zarurat se na dekh
ye zarūrat hai to phir is ko zarūrat se na dekh
apnī chāhat ko kisī aur kī chāhat se na dekh
tujh meñ aur mujh meñ koī farq nahīñ hai lekin
tū sharāfat ko mirī apnī sharāfat se na dekh
mujh ko ho jā.egī ab mujh se hī nafrat varna
ai mirī jaan mujhe itnī mohabbat se na dekh
hañs ke har bojh zamāne kā uThā letā huuñ
maiñ huuñ mazdūr mujhe itnī hiqārat se na dekh
ham-nashīnī kā sharaf sab ko kahāñ miltā hai
tere pahlū meñ jo baiThā huuñ to hairat se na dekh
husn-bīnī ke bhī ādāb huā karte haiñ
us ke chehre kī taraf itnī jasārat se na dekh
us se māñgā hai kahāñ maiñ ne koī harf-e-qisās
mere qātil se ye kah mujh ko nadāmat se na dekh
ye zarurat hai to phir is ko zarurat se na dekh
apni chahat ko kisi aur ki chahat se na dekh
tujh mein aur mujh mein koi farq nahin hai lekin
tu sharafat ko meri apni sharafat se na dekh
mujh ko ho jaegi ab mujh se hi nafrat warna
ai meri jaan mujhe itni mohabbat se na dekh
hans ke har bojh zamane ka uTha leta hun
main hun mazdur mujhe itni hiqarat se na dekh
ham-nashini ka sharaf sab ko kahan milta hai
tere pahlu mein jo baiTha hun to hairat se na dekh
husn-bini ke bhi aadab hua karte hain
us ke chehre ki taraf itni jasarat se na dekh
us se manga hai kahan main ne koi harf-e-qisas
mere qatil se ye kah mujh ko nadamat se na dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.