ye zaruri nahin hai jahan dekhna
ye zarūrī nahīñ hai jahāñ dekhnā
vo jidhar ko chale bas vahāñ dekhnā
un kī qismat meñ thī aisī manzar-kashī
pankhuḌī se laboñ par dhuāñ dekhnā
koī aatā nahīñ koī jaatā nahīñ
aisā sunsān koī nishāñ dekhnā
peḌ ne apne phal ko sikhāyā nahīñ
dūsroñ ke gharoñ meñ amaañ dekhnā
le gayā jo bichhaḌ ke milā thā abhī
aise aalam meñ dil kā samāñ dekhnā
umr kahtī hai chhoḌo burā ye chalan
chalte-phirte nazar se javāñ dekhnā
maiñ tarastā rahā tere milne ko yaar
tū kahāñ hai 'zamīr' ab kahāñ dekhnā
ye zaruri nahin hai jahan dekhna
wo jidhar ko chale bas wahan dekhna
un ki qismat mein thi aisi manzar-kashi
pankhuDi se labon par dhuan dekhna
koi aata nahin koi jata nahin
aisa sunsan koi nishan dekhna
peD ne apne phal ko sikhaya nahin
dusron ke gharon mein aman dekhna
le gaya jo bichhaD ke mila tha abhi
aise aalam mein dil ka saman dekhna
umr kahti hai chhoDo bura ye chalan
chalte-phirte nazar se jawan dekhna
main tarasta raha tere milne ko yar
tu kahan hai 'zamir' ab kahan dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.