ye zinda rahne ka mausam guzar na jae kahin
ye zinda rahne kā mausam guzar na jaa.e kahīñ
ab aa bhī jaao dil-e-zār mar na jaa.e kahīñ
mirā sitārā to ab tak nazar nahīñ aayā
maiñ Dar rahā huuñ ki ye shab guzar na jaa.e kahīñ
nadī kināre khaḌā peḌ soch meñ gum hai
koī bhañvar use barbād kar na jaa.e kahīñ
parinde apne Thikānoñ ko ḳhair se pahuñche
duā yahī hai ki koī Thahar na jaa.e kahīñ
gilā bhī ḳhud se hai aur silsila bhī ḳhud se hai
hamārī baat idhar se udhar na jaa.e kahīñ
ye zinda rahne ka mausam guzar na jae kahin
ab aa bhi jao dil-e-zar mar na jae kahin
mera sitara to ab tak nazar nahin aaya
main Dar raha hun ki ye shab guzar na jae kahin
nadi kinare khaDa peD soch mein gum hai
koi bhanwar use barbaad kar na jae kahin
parinde apne Thikanon ko KHair se pahunche
dua yahi hai ki koi Thahar na jae kahin
gila bhi KHud se hai aur silsila bhi KHud se hai
hamari baat idhar se udhar na jae kahin
- Book : Kulliyat-e-Asad Badayuni (Pg. 443)
- Author : Asad Badayuni
- Publication : National Council for Promotion of Urdu language-NCPUL (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.