ye zindagi hayat-numa ho to baat hai
ye zindagī hayāt-numā ho to baat hai
ġham hī ba-qadr-e-zarf milā ho to baat hai
sho.ala-fishāniyāñ bhī tire ishq tak raheñ
is dil se phir dhuāñ bhī uThā ho to baat hai
rang-e-zamāna dekh ke tark-e-vafā sahī
dil se tirā ḳhayāl gayā ho to baat hai
āsūdagān-e-ġham kī ḳhizāñ kyā bahār kyā
dil meñ koī bhī zaḳhm khulā ho to baat hai
ahl-e-junūñ zamāne meñ rusvā hue to kyā
tū ne bhī vo fasāna sunā ho to baat hai
shikva tire taġhāful-e-paiham kā kyā kareñ
apnā bhī e.atibār kiyā ho to baat hai
'māhir' hai ḳhizr se bhī sivā gumrahī-pasand
tujh sā hasīn rāh-numā ho to baat hai
ye zindagi hayat-numa ho to baat hai
gham hi ba-qadr-e-zarf mila ho to baat hai
shoala-fishaniyan bhi tere ishq tak rahen
is dil se phir dhuan bhi uTha ho to baat hai
rang-e-zamana dekh ke tark-e-wafa sahi
dil se tera KHayal gaya ho to baat hai
aasudagan-e-gham ki KHizan kya bahaar kya
dil mein koi bhi zaKHm khula ho to baat hai
ahl-e-junun zamane mein ruswa hue to kya
tu ne bhi wo fasana suna ho to baat hai
shikwa tere taghaful-e-paiham ka kya karen
apna bhi eatibar kiya ho to baat hai
'mahir' hai KHizr se bhi siwa gumrahi-pasand
tujh sa hasin rah-numa ho to baat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.