ye zindagi jo mili hum ko kam mohabbat mein
ye zindagī jo milī ham ko kam mohabbat meñ
ki jī sake haiñ na mar paa.e ham mohabbat meñ
bas ek shaam tujhe dil ne kar diyā ruḳhsat
phir us ke ba.ad rahī aañkh nam mohabbat meñ
ye aur baat ki tū ne bhulā diye haiñ magar
hameñ to yaad haiñ tere karam mohabbat meñ
tumhārā hijr to aayā hai jaan ko jānāñ
karo nā vasl kī rut ko bhī zam mohabbat meñ
zamāne biit ga.e dekh ham nahīñ badle
jabīñ rahī tire dar par hī ḳham mohabbat meñ
shikast-e-zāt se le kar shikast-e-duniyā tak
hue haiñ dard bhī kitne baham mohabbat meñ
hamārā dil hī nahīñ maan bhī to TuuTā hai
ab is ke ba.ad nahīñ koī ġham mohabbat meñ
baḌe salīqe se ta.amīr kar rahī huuñ ghar
ki rah na jaa.e koī iiñT kam mohabbat meñ
ye zindagi jo mili hum ko kam mohabbat mein
ki ji sake hain na mar pae hum mohabbat mein
bas ek sham tujhe dil ne kar diya ruKHsat
phir us ke baad rahi aankh nam mohabbat mein
ye aur baat ki tu ne bhula diye hain magar
hamein to yaad hain tere karam mohabbat mein
tumhaara hijr to aaya hai jaan ko jaanan
karo na wasl ki rut ko bhi zam mohabbat mein
zamane bit gae dekh hum nahin badle
jabin rahi tere dar par hi KHam mohabbat mein
shikast-e-zat se le kar shikast-e-duniya tak
hue hain dard bhi kitne baham mohabbat mein
hamara dil hi nahin man bhi to TuTa hai
ab is ke baad nahin koi gham mohabbat mein
baDe saliqe se tamir kar rahi hun ghar
ki rah na jae koi inT kam mohabbat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.