ye zindagi ka hai ek saneha kahen kis se
ye zindagī kā hai ik sāneha kaheñ kis se
hamāre biich meñ hai fāsla kaheñ kis se
tamām raat to uljhan savār thī mujh pe
tabhī maiñ der se shāyad uThā kaheñ kis se
hamāre paas meñ daulat kī hai kamī shāyad
har ek shaḳhs hai ham se judā kaheñ kis se
ye shā.erī hai miyāñ tum se ye nahīñ hogā
kisī aziiz ne mujh se kahā kaheñ kis se
mujhe yaqīn hai vo saath chhoḌ degā ‘kāsh’
vo phir se toḌegā ye dil mirā kaheñ kis se
ye zindagi ka hai ek saneha kahen kis se
hamare bich mein hai fasla kahen kis se
tamam raat to uljhan sawar thi mujh pe
tabhi main der se shayad uTha kahen kis se
hamare pas mein daulat ki hai kami shayad
har ek shaKHs hai hum se juda kahen kis se
ye shaeri hai miyan tum se ye nahin hoga
kisi aziz ne mujh se kaha kahen kis se
mujhe yaqin hai wo sath chhoD dega ‘kash’
wo phir se toDega ye dil mera kahen kis se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.