ye zindagi KHayal hai aur ham-KHayal tu
ye zindagī ḳhayāl hai aur ham-ḳhayāl tū
apnā le mujh ko yuuñ na mirī jaañ nikāl tū
break-up kā ġham to thā hī mujhe ab ye ġham bhī hai
break-up ke baa'd lagne lagī hai vabāl tū
jo bhī kahūñgā jhuuT kahūñgā maiñ hosh meñ
piine ke baa'd pūchh mirā hāl-chāl tū
kyoñ dil meñ chubh rahā hai mirā pyaar hai agar
tū pyaar hai to pair kā kāñTā nikāl tū
ik to hai pyaar vo bhī mujhe vo bhī tujh se hai
maiñ bhī kamāl pyaar bhī us par kamāl tū
ye zindagi KHayal hai aur ham-KHayal tu
apna le mujh ko yun na meri jaan nikal tu
break-up ka gham to tha hi mujhe ab ye gham bhi hai
break-up ke ba'd lagne lagi hai wabaal tu
jo bhi kahunga jhuT kahunga main hosh mein
pine ke ba'd puchh mera haal-chaal tu
kyon dil mein chubh raha hai mera pyar hai agar
tu pyar hai to pair ka kanTa nikal tu
ek to hai pyar wo bhi mujhe wo bhi tujh se hai
main bhi kamal pyar bhi us par kamal tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.