ye zindagi safar hai Thahar hi na jaiye
ye zindagī safar hai Thahar hī na jā.iye
ye bhī ki be-ḳhayāl guzar hī na jā.iye
sahrā-e-haul-ḳhez meñ rahiye liye-diye
reg-e-ravāñ ke saath bikhar hī na jā.iye
jab Dūbnā hī tai hai ubharnā muhāl hai
daldal hai dil fareb utar hī na jā.iye
un rāstoñ meñ raat bhaTaktī hai be-sabab
aisā bhī ḳhauf kyā hai jo ghar hī na jā.iye
ab ke safar meñ hai ye nayā zābta janāb
jaanā jidhar hai aap udhar hī na jā.iye
betāb maut kī ye lalak zindagī bhī hai
yuuñ intizār-e-maut meñ mar hī na jā.iye
ye zindagi safar hai Thahar hi na jaiye
ye bhi ki be-KHayal guzar hi na jaiye
sahra-e-haul-KHez mein rahiye liye-diye
reg-e-rawan ke sath bikhar hi na jaiye
jab Dubna hi tai hai ubharna muhaal hai
daldal hai dil fareb utar hi na jaiye
un raston mein raat bhaTakti hai be-sabab
aisa bhi KHauf kya hai jo ghar hi na jaiye
ab ke safar mein hai ye naya zabta janab
jaana jidhar hai aap udhar hi na jaiye
betab maut ki ye lalak zindagi bhi hai
yun intizar-e-maut mein mar hi na jaiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.