ye zindagi tamam bita di hai pyas mein
ye zindagī tamām bitā dī hai pyaas meñ
phir kyoñ har ek raat bitāte haiñ aas meñ
sab yaar sochte the rahegā vahī samāñ
ik maiñ hī bas bachā huuñ koī sau pachās meñ
maiñ ghol kar ke pī gayā huuñ zindagī ko yuuñ
puurī kitāb bas ga.ī hai iqtibās meñ
ham ne bhī to nikāle haiñ nāsūr kaaT kar
ham ne bhī din guzāre haiñ kaale libās meñ
tum jaam māñgte ho baḌī chhoTī chiiz hai
maiñ dhaḌkaneñ rakhūñ jo kaho is gilās meñ
kaise 'amān' ab ye sudhar jaa.eñ 'ādateñ
ham ne bitā.e din haiñ ḳharāboñ ke paas meñ
ye zindagi tamam bita di hai pyas mein
phir kyon har ek raat bitate hain aas mein
sab yar sochte the rahega wahi saman
ek main hi bas bacha hun koi sau pachas mein
main ghol kar ke pi gaya hun zindagi ko yun
puri kitab bas gai hai iqtibas mein
hum ne bhi to nikale hain nasur kaT kar
hum ne bhi din guzare hain kale libas mein
tum jam mangte ho baDi chhoTi chiz hai
main dhaDkanen rakhun jo kaho is gilas mein
kaise 'aman' ab ye sudhar jaen 'adaten
hum ne bitae din hain KHarabon ke pas mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.