yun aai fart-e-gham mein kisi gul-badan ki yaad
yun aai fart-e-gham mein kisi gul-badan ki yaad
Qazi Ghulam Mohammad
MORE BYQazi Ghulam Mohammad
yuuñ aa.ī fart-e-ġham meñ kisī gul-badan kī yaad
sahrā meñ jaise aa.e bahār-e-chaman kī yaad
bāham basar huī thī koī sā.at-e-hasīñ
saf-basta mere dil meñ hai sarv-o-saman kī yaad
khultī nahīñ ye dil meñ girah sī lagī huī
aa.ī thī raat zulf-e-shikan-dar-shikan kī yaad
mahtāb-vār mere ḳhayāloñ ke shahr par
aa.ī thī raat tere ruḳh-e-zau-fagan kī yaad
bikhrī huī hai kitne navādir kī shakl meñ
'qāzī' nigār-ḳhāna-e-dil meñ vatan kī yaad
yun aai fart-e-gham mein kisi gul-badan ki yaad
sahra mein jaise aae bahaar-e-chaman ki yaad
baham basar hui thi koi saat-e-hasin
saf-basta mere dil mein hai sarw-o-saman ki yaad
khulti nahin ye dil mein girah si lagi hui
aai thi raat zulf-e-shikan-dar-shikan ki yaad
mahtab-war mere KHayalon ke shahr par
aai thi raat tere ruKH-e-zau-fagan ki yaad
bikhri hui hai kitne nawadir ki shakl mein
'qazi' nigar-KHana-e-dil mein watan ki yaad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.