yun aane wale akele-pan ke liye main yaaden bana raha hun
yun aane wale akele-pan ke liye main yaaden bana raha hun
Rehman Musawwir
MORE BYRehman Musawwir
yuuñ aane vaale akele-pan ke liye maiñ yādeñ banā rahā huuñ
ki us ke nazdīk baiTh kar kuchh fuzūl bāteñ banā rahā huuñ
udaas mausam udaas jhūle udaas phirte haiñ sab parinde
so un kī ḳhātir maiñ bāzuoñ se shajar meñ shāḳheñ banā rahā huuñ
maiñ jāntā huuñ vo ḳhud-ġharaz hai par is tabī.at kā koī hal hai
vo mere din ḳhaak kar rahā hai maiñ us kī rāteñ banā rahā huuñ
mujhe ḳhud apne badan se kirneñ nikaltī mahsūs ho rahī haiñ
maiñ canvas par hasīn laḌkī kī shoḳh āñkheñ banā rahā huuñ
kamān aabrū siyāh palkeñ gulāb aariz ġhazāl āñkheñ
hai jin se vābasta ishq merā vo saarī yādeñ banā rahā huuñ
yun aane wale akele-pan ke liye main yaaden bana raha hun
ki us ke nazdik baiTh kar kuchh fuzul baaten bana raha hun
udas mausam udas jhule udas phirte hain sab parinde
so un ki KHatir main bazuon se shajar mein shaKHen bana raha hun
main jaanta hun wo KHud-gharaz hai par is tabiat ka koi hal hai
wo mere din KHak kar raha hai main us ki raaten bana raha hun
mujhe KHud apne badan se kirnen nikalti mahsus ho rahi hain
main canwas par hasin laDki ki shoKH aankhen bana raha hun
kaman aabru siyah palken gulab aariz ghazal aankhen
hai jin se wabasta ishq mera wo sari yaaden bana raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.