yun aap jo aasuda-e-gham karte rahenge
yuuñ aap jo āsūda-e-ġham karte raheñge
ham dard-e-dil-o-jān ko kam karte raheñge
samjhe the ki vo shikve gile bhuul ga.e haiñ
ma.alūm na thā dil pe raqam karte raheñge
rakkheñge tire ġham ko zamāne se chhupā kar
tanhā.ī meñ ham aañkh ko nam karte raheñge
āzār pe āzār diye jā.eñge hañs kar
har haal meñ vo ham pe karam karte raheñge
kyā apnī haqīqat hai sivā terī atā ke
ham ḳhud ko tirī zaat meñ zam karte raheñge
jazbāt se me.aar se yā ḳhūn-e-jigar se
ham parvarish-e-lauh-o-qalam karte raheñge
īmān kī daulat hai kahīñ kufr kā ġhalba
sab zikr-e-ḳhudā zikr-e-sanam karte raheñge
hālāt na badleñ na sahī phir bhī ai 'mīnā'
koshish to magar ahl-e-qalam karte raheñge
yun aap jo aasuda-e-gham karte rahenge
hum dard-e-dil-o-jaan ko kam karte rahenge
samjhe the ki wo shikwe gile bhul gae hain
malum na tha dil pe raqam karte rahenge
rakkhenge tere gham ko zamane se chhupa kar
tanhai mein hum aankh ko nam karte rahenge
aazar pe aazar diye jaenge hans kar
har haal mein wo hum pe karam karte rahenge
kya apni haqiqat hai siwa teri ata ke
hum KHud ko teri zat mein zam karte rahenge
jazbaat se mear se ya KHun-e-jigar se
hum parwarish-e-lauh-o-qalam karte rahenge
iman ki daulat hai kahin kufr ka ghalba
sab zikr-e-KHuda zikr-e-sanam karte rahenge
haalat na badlen na sahi phir bhi ai 'mina'
koshish to magar ahl-e-qalam karte rahenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.