yun apne dil ko bahlane lage hain
yuuñ apne dil ko bahlāne lage haiñ
lipaT kar ḳhud ke hī shāne lage haiñ
hameñ to maut bhī āsāñ nahīñ thī
so ab zinda nazar aane lage haiñ
udāsī is qadar haavī thī ham par
ki ḳhush hone pe itrāne lage haiñ
jo dekhī ik shikārī kī udāsī
parinde lauT kar aane lage haiñ
salīqe se lipaT kar paaoñ se ab
ye ġham zanjīr pahnāne lage haiñ
ġhamoñ kī dhuup baḌhtī jā rahī hai
ḳhushī ke phuul murjhāne lage haiñ
faqat ab chand qadmoñ pe hai manzil
magar ham haiñ ki sustāne lage haiñ
yun apne dil ko bahlane lage hain
lipaT kar KHud ke hi shane lage hain
hamein to maut bhi aasan nahin thi
so ab zinda nazar aane lage hain
udasi is qadar hawi thi hum par
ki KHush hone pe itrane lage hain
jo dekhi ek shikari ki udasi
parinde lauT kar aane lage hain
saliqe se lipaT kar paon se ab
ye gham zanjir pahnane lage hain
ghamon ki dhup baDhti ja rahi hai
KHushi ke phul murjhane lage hain
faqat ab chand qadmon pe hai manzil
magar hum hain ki sustane lage hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.