yun apne ek KHwab mein gum ho gaya tha main
yuuñ apne ek ḳhvāb meñ gum ho gayā thā maiñ
niklī huī thī dhuup magar so rahā thā maiñ
koī maqām niiñd ke bāġhoñ meñ thā kahīñ
ThanDī havāoñ meñ vahāñ do-pal rukā thā maiñ
kuchh ajnabī makān the kuchh ajnabī makīñ
āñkheñ thiiñ band phir ye kahāñ jhāñktā thā maiñ
ik samt chāñdnī thī to ik samt dhuup thī
jaise koī tilism thā jis meñ ghirā thā maiñ
yun apne ek KHwab mein gum ho gaya tha main
nikli hui thi dhup magar so raha tha main
koi maqam nind ke baghon mein tha kahin
ThanDi hawaon mein wahan do-pal ruka tha main
kuchh ajnabi makan the kuchh ajnabi makin
aankhen thin band phir ye kahan jhankta tha main
ek samt chandni thi to ek samt dhup thi
jaise koi tilism tha jis mein ghira tha main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.