yun apne KHwabon mein girta sanbhalta rahta hun
yuuñ apne ḳhvāboñ meñ girtā sañbhaltā rahtā huuñ
maiñ terī yaad se aage nikaltā rahtā huuñ
vo merī nīñdoñ meñ utre to kyoñ na thak jaa.e
maiñ apne ḳhvāboñ ke manzar badaltā rahtā huuñ
maiñ DhūñD letā huuñ har baar koī os kī buuñd
phir us kī yaad kī bhaTTī meñ jaltā rahtā huuñ
vo ek naam jo bechain kartā rahtā hai
usī ko soch ke aksar bahaltā rahtā huuñ
jo us kā dil hai na merī havas faqat ik ḳhvāb
usī khilaune kī ḳhātir machaltā rahtā huuñ
yun apne KHwabon mein girta sanbhalta rahta hun
main teri yaad se aage nikalta rahta hun
wo meri nindon mein utre to kyon na thak jae
main apne KHwabon ke manzar badalta rahta hun
main DhunD leta hun har bar koi os ki bund
phir us ki yaad ki bhaTTi mein jalta rahta hun
wo ek nam jo bechain karta rahta hai
usi ko soch ke aksar bahalta rahta hun
jo us ka dil hai na meri hawas faqat ek KHwab
usi khilaune ki KHatir machalta rahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.