yun ba-zahir dekhne mein go ki be chehra hun main
yuuñ ba-zāhir dekhne meñ go ki be chehra huuñ maiñ
mujh meñ apne ḳhāl-o-ḳhat dekho ki ā.īna huuñ maiñ
jazba-e-sahra-navardī thak ke kab ruktā huuñ maiñ
paañv se kāñTā nikalne de abhī chaltā huuñ maiñ
haal zahr-ālūd maazī faut mustaqbil siyāh
aaj ke insān kī taqdīr paḌh saktā huuñ maiñ
mai-kashī to kyā bujhā pā.egī merī tishnagī
dījiye mujh ko samundar pyaas kā sahrā huuñ maiñ
vo ḳhayāloñ meñ barahna jism kyā aa.e 'naresh'
raat bhar apne badan kī aañch se sulgā huuñ maiñ
yun ba-zahir dekhne mein go ki be chehra hun main
mujh mein apne KHal-o-KHat dekho ki aaina hun main
jazba-e-sahra-nawardi thak ke kab rukta hun main
panw se kanTa nikalne de abhi chalta hun main
haal zahr-alud mazi faut mustaqbil siyah
aaj ke insan ki taqdir paDh sakta hun main
mai-kashi to kya bujha paegi meri tishnagi
dijiye mujh ko samundar pyas ka sahra hun main
wo KHayalon mein barahna jism kya aae 'naresh'
raat bhar apne badan ki aanch se sulga hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.