yun ba-zahir hai gulsitan ki tarah
yuuñ ba-zāhir hai gulsitāñ kī tarah
ziist hai mausam-e-ḳhizāñ kī tarah
pahle dil meñ samāyā vo aur phir
chhā gayā gard-e-āsmāñ kī tarah
vo muqaddas kitāb kī mānind
aur maiñ hāfiz-e-qurāñ kī tarah
bhuul kar us ko maiñ ne kī hai bhuul
jism meñ thā mire vo jaañ kī tarah
vo dhaḌak kar na raaz sab kah de
dil sañbhāle raho zabāñ kī tarah
qahqahe bhī lagāo kuchh nāseh
ġham meñ ho jāoge kamāñ kī tarah
niklā zāhid bhī saath mai pī kar
maiñ javāñ aur vo naujavāñ kī tarah
us kā har lamha lamha hai anmol
aur maiñ umr-e-rā.egāñ kī tarah
maiñ satah par habāb sā larzāñ
aur vo bahr-e-be-karāñ kī tarah
maiñ hisāb-o-kitāb se ḳhā.if
aur vaqt sar pe imtihāñ kī tarah
maiñ to tanhā guzar gayā 'shāhid'
vo jo guzrā to kārvāñ kī tarah
yun ba-zahir hai gulsitan ki tarah
zist hai mausam-e-KHizan ki tarah
pahle dil mein samaya wo aur phir
chha gaya gard-e-asman ki tarah
wo muqaddas kitab ki manind
aur main hafiz-e-quran ki tarah
bhul kar us ko main ne ki hai bhul
jism mein tha mere wo jaan ki tarah
wo dhaDak kar na raaz sab kah de
dil sanbhaale raho zaban ki tarah
qahqahe bhi lagao kuchh naseh
gham mein ho jaoge kaman ki tarah
nikla zahid bhi sath mai pi kar
main jawan aur wo naujawan ki tarah
us ka har lamha lamha hai anmol
aur main umr-e-raegan ki tarah
main satah par habab sa larzan
aur wo bahr-e-be-karan ki tarah
main hisab-o-kitab se KHaif
aur waqt sar pe imtihan ki tarah
main to tanha guzar gaya 'shahid'
wo jo guzra to karwan ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.