yun bhi apna zamir becha hai
yuuñ bhī apnā zamīr bechā hai
kitne rāñjhoñ ne hiir bechā hai
baat amn-o-amāñ kī kartā thā
us ne bastī meñ tiir bechā hai
bastī vāloñ ko jo ġhanī kar de
aisā patthar faqīr bechā hai
parvarish kyā hai tifl kyā jaane
maañ ne kaise sharīr bechā hai
vāsta maañ ne duudh kā de kar
apne bachche ko shiir bechā hai
us ne majbūr ho ke hī 'ahsan'
nām-e-rabb-e-qadīr bechā hai
yun bhi apna zamir becha hai
kitne ranjhon ne hir becha hai
baat amn-o-aman ki karta tha
us ne basti mein tir becha hai
basti walon ko jo ghani kar de
aisa patthar faqir becha hai
parwarish kya hai tifl kya jaane
man ne kaise sharir becha hai
wasta man ne dudh ka de kar
apne bachche ko shir becha hai
us ne majbur ho ke hi 'ahsan'
nam-e-rabb-e-qadir becha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.