yun bhi guzri hain meri sham-o-sahar pani mein
yuuñ bhī guzrī haiñ mirī shām-o-sahar paanī meñ
ashk ban ban ke bahā ḳhūn-e-jigar paanī meñ
kyā Darā.eñge ye āfāt-e-zamāna ham ko
ham banā lete haiñ jab rāh-e-safar paanī meñ
saḳht se saḳht bhī patthar na rahā phir patthar
aksar aayā hai nazar aisā asar paanī meñ
tum isī taur mire dil meñ rahā karte ho
jis tarah rahtā hai poshīda guhar paanī meñ
jazba-e-shauq-o-tasavvur kī badaulat aksar
dekhtā rahtā huuñ maiñ aks-e-qamar paanī meñ
ḳhvāhish-e-'aish-o-tarab kyuuñ ho zamāne kī use
zindagī hotī rahī jis kī basar paanī meñ
raushnī detī vo kaise rah-e-ulfat pe 'ra.īs'
sham-e-ummīd jalā.ī thī magar paanī meñ
yun bhi guzri hain meri sham-o-sahar pani mein
ashk ban ban ke baha KHun-e-jigar pani mein
kya Daraenge ye aafat-e-zamana hum ko
hum bana lete hain jab rah-e-safar pani mein
saKHt se saKHt bhi patthar na raha phir patthar
aksar aaya hai nazar aisa asar pani mein
tum isi taur mere dil mein raha karte ho
jis tarah rahta hai poshida guhar pani mein
jazba-e-shauq-o-tasawwur ki badaulat aksar
dekhta rahta hun main aks-e-qamar pani mein
KHwahish-e-'aish-o-tarab kyun ho zamane ki use
zindagi hoti rahi jis ki basar pani mein
raushni deti wo kaise rah-e-ulfat pe 'rais'
sham-e-ummid jalai thi magar pani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.