yun bhi hum marka-e-umr-e-rawan se guzre
yun bhi hum marka-e-umr-e-rawan se guzre
Gulamullah Afsoon Bhopali
MORE BYGulamullah Afsoon Bhopali
yuuñ bhī ham ma.arka-e-umr-e-ravāñ se guzre
ik jahāñ zer kiyā ek jahāñ se guzre
ab tire dard ko har tarah kī āzādī hai
yā mire dil meñ rahe yā rag-e-jāñ se guzre
haif-sad-haif ki ik dil meñ jagah ko tarse
vo nazar anjuman-e-kaun-o-makāñ se guzre
ham se baḌh kar koī shāyān-e-chaman kyā hogā
ham bahāroñ meñ rahe daur-e-ḳhizāñ se guzre
ġham ke tūfāñ se guzarnā bhī hai āsāñ 'afsūñ'
dil agar kashmakash-e-sūd-o-ziyāñ se guzre
yun bhi hum marka-e-umr-e-rawan se guzre
ek jahan zer kiya ek jahan se guzre
ab tere dard ko har tarah ki aazadi hai
ya mere dil mein rahe ya rag-e-jaan se guzre
haif-sad-haif ki ek dil mein jagah ko tarse
wo nazar anjuman-e-kaun-o-makan se guzre
hum se baDh kar koi shayan-e-chaman kya hoga
hum bahaaron mein rahe daur-e-KHizan se guzre
gham ke tufan se guzarna bhi hai aasan 'afsun'
dil agar kashmakash-e-sud-o-ziyan se guzre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.