yun bhi hone ka pata dete hain
yuuñ bhī hone kā patā dete haiñ
apnī zanjīr hilā dete haiñ
pahle har baat pe ham sochte the
ab faqat haath uThā dete haiñ
qāfila aaj kahāñ Thahregā
kyā ḳhabar ābla-pā dete haiñ
ba.az-auqāt havā ke jhoñke
lau charāġhoñ kī baḌhā dete haiñ
dil meñ jab baat nahīñ rah saktī
kisī patthar ko sunā dete haiñ
ek dīvār uThāne ke liye
ek dīvār girā dete haiñ
sochte haiñ sar-e-sāhil 'bāqī'
ye samundar hameñ kyā dete haiñ
yun bhi hone ka pata dete hain
apni zanjir hila dete hain
pahle har baat pe hum sochte the
ab faqat hath uTha dete hain
qafila aaj kahan Thahrega
kya KHabar aabla-pa dete hain
baz-auqat hawa ke jhonke
lau charaghon ki baDha dete hain
dil mein jab baat nahin rah sakti
kisi patthar ko suna dete hain
ek diwar uThane ke liye
ek diwar gira dete hain
sochte hain sar-e-sahil 'baqi'
ye samundar hamein kya dete hain
- Book : baar-e-safar (Pg. 46)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.