yun bhi kab us se rabta nikla
yuuñ bhī kab us se rābta niklā
vo to achchhā thā maiñ burā niklā
jaañ kī mānind jis ko chāhā thā
dost lekin vo ġhair kā niklā
jis pe tan-man luTā diyā ham ne
dostī meñ vo bevafā niklā
qāfile rah meñ lūTne vaalā
rāhzan ek rahnumā niklā
jaañ chhiḌaktā thā jo mire dam par
naam se bhī vo ab ḳhafā niklā
yūñhī shikva hai mujh ko dariyā se
merā dushman to nāḳhudā niklā
jis ke dam se thiiñ raunaqeñ 'tanhā'
aaj mahfil se duur jā niklā
yun bhi kab us se rabta nikla
wo to achchha tha main bura nikla
jaan ki manind jis ko chaha tha
dost lekin wo ghair ka nikla
jis pe tan-man luTa diya hum ne
dosti mein wo bewafa nikla
qafile rah mein luTne wala
rahzan ek rahnuma nikla
jaan chhiDakta tha jo mere dam par
nam se bhi wo ab KHafa nikla
yunhi shikwa hai mujh ko dariya se
mera dushman to naKHuda nikla
jis ke dam se thin raunaqen 'tanha'
aaj mahfil se dur ja nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.