yun bhi koi apna KHasara karta hai
yuuñ bhī koī apnā ḳhasāra kartā hai
apnī razā se baazī haarā kartā hai
duur chalā aa.uuñ to ye mahsūs karūñ
shāyad koī mujhe pukārā kartā hai
kabhī Darā kartā thā ye bhī duniyā se
ab to dil be-ḳhauf guzāra kartā hai
jo phūloñ kī ḳhushbū kā shaidā.ī hai
vo hī suunā baaġh hamārā kartā hai
chāñd sitāroñ ko kyā is kā ilm bhī hai
koī un par āñkheñ vaarā kartā hai
pahle sarkash dariyā ḳhuub Darātā hai
ba.ad meñ mujh ko paar utārā kartā hai
boyā kartā hai vo biij zamīnoñ meñ
aur phir un meñ zahr utārā kartā hai
yun bhi koi apna KHasara karta hai
apni raza se bazi haara karta hai
dur chala aaun to ye mahsus karun
shayad koi mujhe pukara karta hai
kabhi Dara karta tha ye bhi duniya se
ab to dil be-KHauf guzara karta hai
jo phulon ki KHushbu ka shaidai hai
wo hi suna bagh hamara karta hai
chand sitaron ko kya is ka ilm bhi hai
koi un par aankhen wara karta hai
pahle sarkash dariya KHub Daraata hai
baad mein mujh ko par utara karta hai
boya karta hai wo bij zaminon mein
aur phir un mein zahr utara karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.