yun bhi nibah humne kiya zindagi ke sath
yuuñ bhī nibāh ham ne kiyā zindagī ke saath
ik ajnabī ho jaise kisī ajnabī ke saath
ab ke bahār aa.ī to is dilkashī ke saath
kāñTe bhī muskurā.e guloñ kī hañsī ke saath
har ġham qubūl ham ne kiyā hai ḳhushī ke saath
vābasta yuuñ hue haiñ terī barhamī ke saath
dil ko jalā ke garm kiyā aise bazm ko
jaise koī charāġh jale raushnī ke saath
tajdīd aao phir kareñ ahd-e-vafā kī aaj
aao qadam milā ke chaleñ dostī ke saath
itnī to hai hameñ bhī tavaqqo sulūk kī
ik aadmī jo kartā hai ik aadmī ke saath
merī nazar bhī jaatī hai kuchh surḳhiyoñ kī samt
aatā hai jab bhī naam kisī kā kisī ke saath
sunte haiñ mai-kashoñ meñ baḌī barhamī sī hai
saaqī pilā rahā hai magar be-ruḳhī ke saath
koī shikan jabīn-e-saḳhāvat pe aa na jaa.e
dāman ko mere dekh na dariyā-dilī ke saath
nālā-kunāñ haiñ lamhe qayām-o-sujūd ke
'paikar' namāz paḌh na sake āgahī ke saath
yun bhi nibah hum ne kiya zindagi ke sath
ek ajnabi ho jaise kisi ajnabi ke sath
ab ke bahaar aai to is dilkashi ke sath
kanTe bhi muskurae gulon ki hansi ke sath
har gham qubul hum ne kiya hai KHushi ke sath
wabasta yun hue hain teri barhami ke sath
dil ko jala ke garm kiya aise bazm ko
jaise koi charagh jale raushni ke sath
tajdid aao phir karen ahd-e-wafa ki aaj
aao qadam mila ke chalen dosti ke sath
itni to hai hamein bhi tawaqqo suluk ki
ek aadmi jo karta hai ek aadmi ke sath
meri nazar bhi jati hai kuchh surKHiyon ki samt
aata hai jab bhi nam kisi ka kisi ke sath
sunte hain mai-kashon mein baDi barhami si hai
saqi pila raha hai magar be-ruKHi ke sath
koi shikan jabin-e-saKHawat pe aa na jae
daman ko mere dekh na dariya-dili ke sath
nala-kunan hain lamhe qayam-o-sujud ke
'paikar' namaz paDh na sake aagahi ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.