yun bhi qatl-e-ana kare koi
yuuñ bhī qatl-e-anā kare koī
roz va.ade kiyā kare koī
haiñ samajh se pare nikāt-e-ishq
kas ke lipTā liyā kare koī
qafas-e-intizār-o-hasrat se
murġh-e-dil ko rihā kare koī
ab mirī ek hī tamanna hai
ḳhvāb meñ hī milā kare koī
zindagī roz zaḳhm detī hai
kab tak āḳhir davā kare koī
mujh se ḳhush hai koī to hotā rahe
hai ḳhafā to huā kare koī
yun bhi qatl-e-ana kare koi
roz wade kiya kare koi
hain samajh se pare nikat-e-ishq
kas ke lipTa liya kare koi
qafas-e-intizar-o-hasrat se
murgh-e-dil ko riha kare koi
ab meri ek hi tamanna hai
KHwab mein hi mila kare koi
zindagi roz zaKHm deti hai
kab tak aaKHir dawa kare koi
mujh se KHush hai koi to hota rahe
hai KHafa to hua kare koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.