yun bhi ras aai nahin uski wafa tum rakh lo
yuuñ bhī raas aa.ī nahīñ us kī vafā tum rakh lo
mujh ko bīmār hī rahne do davā tum rakh lo
band kamroñ kī ghuTan mere liye rahne do
ye jo aatī hai darīchoñ se havā tum rakh lo
merī rāhoñ meñ bichhā do tum añdhere saare
aur ye lo mire hisse kā diyā tum rakh lo
oḌh kar baiTh ga.ī huuñ maiñ dukhoñ kī chādar
ye ḳhushī aur ye ḳhushbu-e-qabā tum rakh lo
mujh ko ye nūr-e-qamar tīrgī se hāsil hai
mere andar se jo niklī hai ziyā tum rakh lo
paas baiThe koī dil khol ke do baat kare
baaqī duniyā ke ye atvār-o-adā tum rakh lo
merī maañ to mirī jannat ko liye baiThī hai
aisā kar lo mire purkhoñ kī duā tum rakh lo
maiñ gunahgār hī achchhī huuñ barā-e-mahfil
ye jo tum bechte phirte ho ḳhudā tum rakh lo
yun bhi ras aai nahin us ki wafa tum rakh lo
mujh ko bimar hi rahne do dawa tum rakh lo
band kamron ki ghuTan mere liye rahne do
ye jo aati hai darichon se hawa tum rakh lo
meri rahon mein bichha do tum andhere sare
aur ye lo mere hisse ka diya tum rakh lo
oDh kar baiTh gai hun main dukhon ki chadar
ye KHushi aur ye KHushbu-e-qaba tum rakh lo
mujh ko ye nur-e-qamar tirgi se hasil hai
mere andar se jo nikli hai ziya tum rakh lo
pas baiThe koi dil khol ke do baat kare
baqi duniya ke ye atwar-o-ada tum rakh lo
meri man to meri jannat ko liye baiThi hai
aisa kar lo mere purkhon ki dua tum rakh lo
main gunahgar hi achchhi hun bara-e-mahfil
ye jo tum bechte phirte ho KHuda tum rakh lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.