yun bhi shab-e-firaq saza kaTte rahe
yuuñ bhī shab-e-firāq sazā kāTte rahe
likh likh ke ḳhat pe un kā pata kāTte rahe
ahl-e-havas ne kaaT lī sone kī khetiyāñ
ḳhuddār log fasl-e-anā kāTte rahe
jo jis ke thā nasīb meñ le kar chalā gayā
qistoñ meñ apne bhaa.ī galā kāTte rahe
jin ko payām-e-amn se parḳhāsh thī bahut
vo par kabūtaroñ ke sadā kāTte rahe
tūfāñ kā zor kam huā lahreñ bhī tham ga.iiñ
dariyāoñ meñ safīne havā kāTte rahe
har gaam par thā maañ kī duāoñ kā aasrā
dushman hazār dast-e-duā kāTte rahe
'sarvat' kisī maqām pe khaa.ī nahīñ shikast
rasta safar meñ rāh-numā kāTte rahe
yun bhi shab-e-firaq saza kaTte rahe
likh likh ke KHat pe un ka pata kaTte rahe
ahl-e-hawas ne kaT li sone ki khetiyan
KHuddar log fasl-e-ana kaTte rahe
jo jis ke tha nasib mein le kar chala gaya
qiston mein apne bhai gala kaTte rahe
jin ko payam-e-amn se parKHash thi bahut
wo par kabutaron ke sada kaTte rahe
tufan ka zor kam hua lahren bhi tham gain
dariyaon mein safine hawa kaTte rahe
har gam par tha man ki duaon ka aasra
dushman hazar dast-e-dua kaTte rahe
'sarwat' kisi maqam pe khai nahin shikast
rasta safar mein rah-numa kaTte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.