yun bhi to sataya hai teri jalwagari ne
yuuñ bhī to satāyā hai tirī jalvagarī ne
āñkheñ na milā.īñ mirī bāliġh-nazarī ne
minnat-kash-e-pindār-e-junūñ hai dil-e-pur-ḳhūñ
un kā bhī sahārā na liyā be-ḳhabarī ne
ai husn-e-dil-ārā tirī ik ek adā ko
parvān chaḌhāyā mirī hairat-nagarī ne
thī marhala-e-saḳht vo manzil ki jahāñ par
tum ko bhī sambhālā mirī āshufta-sarī ne
tum ḳhud hī chale aaoge shāyad sar-e-manzil
ik raah nikālī hai mirī dar-badarī ne
ai ḳhastagī-e-ishq chaman meñ to guzar kar
phūloñ kā bhī rakkhā hai bharam jāma-darī ne
din raat kiye ek vo tūfān uThāyā
ġhunchoñ ke liye mauj-e-nasīm-saharī ne
afsos unheñ zauq-e-nazar hī ne girāyā
parde jo uThā.e the mirī dīda-varī ne
chup haiñ mah-o-mirrīḳh zamīñ hai mutabassim
khīñchā hai zarā tuul umīd-e-basharī ne
hairat mujhe is par hai 'shahāb'-e-suḳhan-ārā
taakā na tujhe vasvasa-e-nāmvarī ne
yun bhi to sataya hai teri jalwagari ne
aankhen na milain meri baaligh-nazari ne
minnat-kash-e-pindar-e-junun hai dil-e-pur-KHun
un ka bhi sahaara na liya be-KHabari ne
ai husn-e-dil-ara teri ek ek ada ko
parwan chaDhaya meri hairat-nagari ne
thi marhala-e-saKHt wo manzil ki jahan par
tum ko bhi sambhaala meri aashufta-sari ne
tum KHud hi chale aaoge shayad sar-e-manzil
ek rah nikali hai meri dar-badari ne
ai KHastagi-e-ishq chaman mein to guzar kar
phulon ka bhi rakkha hai bharam jama-dari ne
din raat kiye ek wo tufan uThaya
ghunchon ke liye mauj-e-nasim-sahari ne
afsos unhen zauq-e-nazar hi ne giraya
parde jo uThae the meri dida-wari ne
chup hain mah-o-mirriKH zamin hai mutabassim
khincha hai zara tul umid-e-bashari ne
hairat mujhe is par hai 'shahab'-e-suKHan-ara
taka na tujhe waswasa-e-namwari ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.