yun bichhaD jaunga tum se maine ye socha na tha
yuuñ bichhaḌ jā.ūñgā tum se maiñ ne ye sochā na thā
qurbatoñ meñ fāsloñ kā koī andāza na thā
jaane pahchāne hue chehre bhī sab the ajnabī
kitnā tanhā thā vahāñ bhī maiñ jahāñ tanhā na thā
apne dil kā zahr-e-ġham āñkhoñ se jo chhalkā gayā
vo samundar thā magar merī tarah gahrā na thā
zindagī ham bhī tirī qadroñ ke vāris the magar
apnī qismat meñ faqat dīvār thī saaya na thā
har taraf hai ab mirī ḳhāmoshiyoñ kī bāzgasht
zindagī meñ is se pahle itnā sannāTā na thā
rūThne vaale mirī chāhat kā andāza to kar
is qadar to maiñ ne ḳhud ko bhī kabhī chāhā na thā
zaḳhm bhī jis ne diye haiñ mujh ko ġhairoñ kī tarah
vo mirā apnā thā lekin mujh ko pahchānā na thā
pyaar āḳhir kyoñ na aatā apne qātil par mujhe
mere us ke darmiyāñ kyā ḳhuun kā rishta na thā
be-vafā.ī kī shikāyat thī mujhe us se magar
us kī majbūrī ko jab tak 'badr' maiñ samjhā na thā
yun bichhaD jaunga tum se main ne ye socha na tha
qurbaton mein faslon ka koi andaza na tha
jaane pahchane hue chehre bhi sab the ajnabi
kitna tanha tha wahan bhi main jahan tanha na tha
apne dil ka zahr-e-gham aankhon se jo chhalka gaya
wo samundar tha magar meri tarah gahra na tha
zindagi hum bhi teri qadron ke waris the magar
apni qismat mein faqat diwar thi saya na tha
har taraf hai ab meri KHamoshiyon ki bazgasht
zindagi mein is se pahle itna sannaTa na tha
ruThne wale meri chahat ka andaza to kar
is qadar to main ne KHud ko bhi kabhi chaha na tha
zaKHm bhi jis ne diye hain mujh ko ghairon ki tarah
wo mera apna tha lekin mujh ko pahchana na tha
pyar aaKHir kyon na aata apne qatil par mujhe
mere us ke darmiyan kya KHun ka rishta na tha
be-wafai ki shikayat thi mujhe us se magar
us ki majburi ko jab tak 'badr' main samjha na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.