yun chakkho to phika pani
yuuñ chakkho to phīkā paanī
pyaas lage to mīThā paanī
chāhat kā andāza kar ke
maiñ pyāsā tū ThanDā paanī
log sazā.eñ kaaT rahe haiñ
duniyā bhī hai kaalā paanī
us kī saḳhāvat allah allah
bhūke ko hai detā paanī
haq-goī kā mujrim huuñ maiñ
band hai merā huqqa paanī
merī aañkh se Tapkā hai jo
aadhā ḳhuun hai aadhā paanī
saada hai koī rang nahīñ hai
bilkul mere jaisā paanī
yun chakkho to phika pani
pyas lage to miTha pani
chahat ka andaza kar ke
main pyasa tu ThanDa pani
log sazaen kaT rahe hain
duniya bhi hai kala pani
us ki saKHawat allah allah
bhuke ko hai deta pani
haq-goi ka mujrim hun main
band hai mera huqqa pani
meri aankh se Tapka hai jo
aadha KHun hai aadha pani
sada hai koi rang nahin hai
bilkul mere jaisa pani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.