yun chalte hain log rah zalim
yuuñ chalte haiñ log raah zālim
koī chaal hai ye bhī aah zālim
auroñ kī taraf tū dekhtā hai
īdhar bhī to kar nigāh zālim
hai raast to ye ki maiñ na dekhā
tujh sā koī kaj-kulāh zālim
kuchh rahm bhī hai tirī jafā se
ik ḳhalq hai dād-ḳhvāh zālim
kis vāste boltā nahīñ tū
kyā mujh se huā gunāh zālim
ai 'mus.hafī' dil kahīñ na diije
hotī hai burī ye chaah zālim
yun chalte hain log rah zalim
koi chaal hai ye bhi aah zalim
auron ki taraf tu dekhta hai
idhar bhi to kar nigah zalim
hai rast to ye ki main na dekha
tujh sa koi kaj-kulah zalim
kuchh rahm bhi hai teri jafa se
ek KHalq hai dad-KHwah zalim
kis waste bolta nahin tu
kya mujh se hua gunah zalim
ai 'mushafi' dil kahin na dije
hoti hai buri ye chah zalim
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(awwa) (Pg. 233)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.